nīm-shab ātish-e-fariyād-e-asīrāñ raushan
dhuup sī phail rahī hai sar-e-dīvār-e-chaman
yā tire qurb kī ye sā.at-e-afsurda hai
yā kabhī tere tasavvur se sulagtā thā badan
dil-jale ro.e haiñ shāyad kahīñ phir āḳhir-e-shab
bhīgā bhīgā hai nasīm-e-saharī kā dāman
aaj tak yaad hai vo shām-e-judā.ī kā samāñ
terī āvāz kī larzish tire lahje kī thakan
dil ke zaḳhmoñ se mahak aatī hai phūloñ kī 'azīm'
sīna-e-chāk hai yā raḳhna-e-dīvār-e-chaman