fitnā-sāmāñ hī nahīñ fitna-e-sāmāñ nikle
aap to ḳhāna-bar-andāz-e-dil-o-jāñ nikle
be-ḳhudī meñ jise ham samjhe haiñ terā dāman
ain mumkin hai ki apnā hī garebāñ nikle
dil pe dhuñdle se nishāñ the jo ġham-e-duniyā ke
vo bhī dar-parda nuqūsh-e-ġham-e-jānāñ nikle
phir vahī ham vahī be-raunaqī-e-dīda-o-dil
husn ke sho.abde ik ḳhvāb-e-gurezāñ nikle
dard-e-mahrūmī-e-jāved bhī ik daulat hai
ahl-e-ġham bhī tire sharminda-e-ehsāñ nikle
jin se ārā.ish-e-īmāñ kī tavaqqo thī 'azīm'
hādisa hai ki vo ġhārat-gar-e-īmāñ nikle