Azeem Murtaza

lai na saba bu-e-chaman ab ke baras bhi

Azeem Murtaza

Lahore, Punjab, Pakistan

1923-1983
laa.ī na sabā bu-e-chaman ab ke baras bhī
kuchh soch ke ḳhāmosh haiñ yārān-e-qafas bhī
dastūr-e-mohabbat hī nahīñ jaañ se guzarnā
kar lete haiñ ye kaam kabhī ahl-e-havas bhī
nāzuk haiñ marāhil safar-e-manzil-e-ġham ke
is raah meñ kho jaatī hai āvāz-e-jaras bhī
āzād bhī ho jā.eñge āḳhir tire qaidī
ik roz bikhar jā.egī zanjīr-e-nafas bhī
añgusht-numā shaiḳh-o-barahman ke chalan par
masjid ke manāre bhī haiñ mandir ke kalas bhī
dīvāna abhī tak hai usī dushman-e-jāñ kā
aatā hai dil-e-zār pe ġhussa bhī taras bhī
kuchh aap kā ġham kuchh ġham-e-jāñ kuchh ġham-e-duniyā
dāman meñ mire phuul bhī haiñ ḳhaar bhī ḳhas bhī
chup rah ke bhī mumkin na rahā dard chhupānā
ik sho.ala-e-āvāz hai ab mauj-e-nafas bhī
Top Urdushayar.com