jab se hai vo raunaq-e-mahfil āñkhoñ meñ
jaan laboñ par rahtī hai dil āñkhoñ meñ
suukh rahī hai jū-e-girya-e-gard-nishāñ
chubhne lagī hai ab ḳhāk-e-dil āñkhoñ meñ
hijr kī rāteñ arsa-e-be-ḳhvābī kā safar
kaaT rahā huuñ manzil manzil āñkhoñ meñ
ḳhuun kī lahreñ motī motī palkoñ par
niklā dil-dariyā kā sāhil āñkhoñ meñ
dekh rahā huuñ guzre vaqt kī tasvīreñ
utre haiñ yādoñ ke mahmil āñkhoñ meñ