ġham kā ye salīqa bhī rah gayā hai ab ham tak
zaar zaar rote haiñ aañkh meñ nahīñ nam tak
yaad jaane vāloñ kī raushnī ḳhayāloñ kī
dil kā saath detī hai ek manzil-e-ġham tak
tujh se mil ke bhī terā intizār rahtā hai
sub.h rū-e-ḳhandāñ se shaam zulf-e-barham tak
ab nishāñ mile shāyad manzil-e-tamannā kā
tere hijr ke ġham se aa ga.e tire ġham tak
ek dard-e-hastī ne umr bhar rifāqat kī
varna saath detā hai kaun āḳhirī dam tak