tirā ḳhayāl bhī hai vaz-e-ġham kā paas bhī hai
magar ye baat ki duniyā nazar-shanās bhī hai
bahār-e-sub.h-e-azal phir ga.ī nigāhoñ meñ
vahī fazā tire kūche ke aas paas bhī hai
jo ho sake to chale aao aaj merī taraf
mile bhī der huī aur jī udaas bhī hai
ḳhulūs-e-niyyat-e-rah-rau pe munhasir hai 'azīm'
maqām-e-ishq bahut duur bhī hai paas bhī hai