ye aur baat hai ki madavā-e-ġham na thā
lekin tirā ḳhulūs tavaqqo se kam na thā
kyā kyā farāġhateñ thiiñ mayassar hayāt ko
vo din bhī the ki tere sivā koī ġham na thā
kuchh ham girift-e-gardish-e-daurāñ meñ aa ga.e
kuchh dil bhī tere ishq meñ sābit-qadam na thā
aa.e haiñ yaad tujh se bichhaḌ kar vo log bhī
jin se ta.alluqāt bigaḌne kā ġham na thā
vo daur-e-ishq mahz bhī kiyā vaqt thā 'azīm'
jab dil pe naqsh mohr-o-nishān-e-sitam na thā