kuchh bhī ho mirā haal numāyāñ to nahīñ hai
dil chaak sahī ḳhair garebāñ to nahīñ hai
husn-e-talab-e-barq hai ta.amīr-e-nasheman
varna havas-e-sair-e-gulistāñ to nahīñ hai
kuchh naqsh tirī yaad ke baaqī haiñ abhī tak
dil be-sar-o-sāmāñ sahī vīrāñ to nahīñ hai
ham dard ke maare hī garāñ-jāñ haiñ vagarna
jiinā tirī furqat meñ kuchh āsāñ to nahīñ hai
TuuTā to aziiz aur huā ahl-e-vafā ko
dil bhī kahīñ us shoḳh kā paimāñ to nahīñ hai