chust kamar kā kyā sabab tañg qabā kī vaj.h kyā
ham to haiñ aap sar-ba-kaf ham se adā kī vaj.h kyā
ḳhaak meñ jo milā ho ḳhud us pe sitam se kyā husūl
husn kī ye sarisht hai varna jafā kī vaj.h kyā
apnī haiñ jaisī ḳhaslateñ mujh pe bhī hai gumāñ vahī
ye nahīñ gar sabab to phir tark-e-vafā kī vaj.h kyā
mashrab-e-ishq meñ dilā kufr hai yaar se riyā
jab ki butoñ kā dhyān ho zikr-e-ḳhudā kī vaj.h kyā
aaj kiye hazār qatl kal kiye aur bhī sivā
shaġhl ye jis nigah kā ho us ko hayā kī vaj.h kyā
rūh-o-jasad kā sābiqa kitne dinoñ kā hai bhalā
donoñ kī jins do hai jab un meñ vafā kī vaj.h kyā
sadma-e-dard-o-ranj-o-ġham tūl-e-firāq kā alam
haiñ ye havādisāt chand un kī baqā kī vaj.h kyā
sun leñ jo vo zahe-nasīb gar na suneñ to kyā gila
hai ye unhīñ se guftugū tark-e-duā kī vaj.h kyā
mālik-e-dil haiñ jab vahī jab hai unhīñ kā iḳhtiyār
murtakib-e-gunāh kyuuñ jurm-o-ḳhatā kī vaj.h kyā
ro.e haiñ ham zarūr 'shād' tab to hai lab pe āh-e-sard
meñh na baras gayā to phir ThanDī havā kī vaj.h kyā