jiye jā.eñge ham bhī lab pe dam jab tak nahīñ aatā
hameñ bhī dekhnā hai nāma-bar kab tak nahīñ aatā
pahuñchnā thā jo arz-e-hāl ko arsh-e-muazzam tak
ka.ī shab se vahī naala mire lab tak nahīñ aatā
dil apnā vādi-e-ġhurbat meñ shāyad mar rahā jā kar
na aane kī bhī ik mī.ād hai kab tak nahīñ aatā
vahāñ auroñ ke qissoñ ko bhī sun kar vo khaTakte haiñ
yahāñ apnī zabāñ par harf-e-matlab tak nahīñ aatā
yahāñ tak sīna-tañgī se za.iif o zaar hai naala
chalā jo sub.h ko vo tā-ba-lab shab tak nahīñ aatā
jahāñ tamhīd kī vo aur qisse chheḌ detā hai
kisī sūrat se zālim harf-e-matlab tak nahīñ aatā
bulā bhejeñ na jab tak 'shād' ko vo apne kūche meñ
ijāra hai tirā ai shauq haañ tab tak nahīñ aatā