kisī ko kyā ḳhabar ai sub.h vaqt-e-shām kyā hogā
ḳhudā jaane tire āġhāz kā anjām kyā hogā
giraftārān-e-gesū par nahīñ kuchh munhasir nāseh
phañsā hai jo ta.alluq meñ use ārām kyā hogā
abas hai zāhidoñ ko mai-kashī meñ uzr-e-nādārī
gurū rakh leñ usī ko jāma-e-ehrām kyā hogā
vahī rah rah ke ghabrānā vahī nā-kār-gar aaheñ
sivā is baat ke tujh se dil-e-nākām kyā hogā
use bhī jald uThā kar tāq-e-nisyāñ ke havāle kar
nahīñ pesh-e-nazar jab ḳhatm to saaqī jaam kyā hogā
yahī TuuTe subū miTTī ke kaafī haiñ qanā.at kar
bilorīñ jām-e-mai ai riñd dard-āshām kyā hogā
taqarrub jin ko hai un ko bhī yak-gūna hai māyūsī
ye hālat hai to phir dīdār terā aam kyā hogā
na pūchho muftiyān-e-shar.a kā ahvāl jaane do
tanaffur kufr ko jis se ho vo islām kyā hogā
sahar furqat kī hai aur ġhash pe ġhash aate haiñ āshiq ko
abhī se jab ye hālat ho ga.ī tā-shām kyā hogā
za.īfī meñ tū 'shād' allāhu-akbar pī gayā ḳhum tak
javānī meñ kaho ye riñd mai-āshām kyā hogā
zamāna 'shād' begārī meñ kyuuñ āḳhir phañsātā hai
apāhij kar diyā piirī ne mujh se kaam kyā hogā