Shad Azimabadi

kya faqat talib-e-didar tha musa tera

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
kyā faqat tālib-e-dīdār thā muusā terā
vahī shaidā thā tirā maiñ nahīñ shaidā terā
dīda-e-shauq se be-vaj.h hai pardā terā
kis ne dekhā nahīñ in āñkhoñ se jalva terā
ḳhud nazākat pe na kyuuñ bojh ho pardā terā
kyā kisī aañkh ne dekhā nahīñ jalva terā
miT ga.ī shorish-e-tūfān-e-havādis ai mauj
ab vahī tū vahī bahtā huā dariyā terā
chain se shahr-e-ḳhamoshāñ meñ har ik sotā hai
aasrā sab ko hai ai vāda-e-fardā terā
manzilat ek kī bhī hogī na vaisī ba-ḳhudā
hashr meñ aa.egā jis shaan se rusvā terā
zindagī kahtī hai armāñ koī ab hai na ummīd
kab talak saath karūñ maiñ tan-e-tanhā terā
be-sabab merī ḳhamoshī nahīñ ai shāhid-e-husn
dāman-e-sabr se Dhañktā nahīñ pardā terā
yuuñ habāboñ kā na dil toḌ ḳhudā-rā ai mauj
inhīñ qatroñ ke to milne se hai dariyā terā
vahī rañgat vahī ḳhushbū vahī nāzuk-badanī
phuul ne naqsh utārā hai sarāpā terā
tujh se milne kā jo hai shauq to dar dar na phire
paañv toḌe hue baiThā rahe shaidā terā
ai gul aatī hai ḳhizāñ baaġh meñ Thahrā na mujhe
dekhūñ in āñkhoñ se utrā huā chehrā terā
kaash zāhid ruḳh-e-raushan se uThā leñ vo naqāb
phir to kuchh rind kī rindī hai na taqvā terā
apne mai-ḳhāne se ghabrā ke maiñ bāhar aayā
jab haram se koī niklā na shanāsā terā
us pe kyā zor bhalā jis pe ho us kā qaabū
chashm-e-shauq apnī sahī dil to hai shaidā terā
justujū shart hai mil jā.egā ziina bhī zarūr
sāmne hai nazar-e-shauq ke mukhḌā terā
vusa.at-e-qudrat-e-haq hogī na mahdūd kabhī
nahīñ milne kā sirā zulf-e-chalīpā terā
bazm-e-āḳhir hai taqāza na kar ai mahfil-e-shauq
ab kahāñ saaf bhalā sāġhar o sahbā terā
'shād' ġhazleñ nahīñ āyāt-e-zubūr in ko samajh
lahn-e-dā.ūd se kuchh kam nahīñ naġhmā terā
ab javānī kī umañgeñ na umañgoñ kī ḳhushī
'shād' ko hai faqat ai mauj sahārā terā
Top Urdushayar.com