Shad Azimabadi

na jaan-bazon ka majma tha na mushtaqon ka mela tha

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
na jāñ-bāzoñ kā majmā thā na mushtāqoñ kā melā thā
ḳhudā jaane kahāñ martā thā maiñ jab tū akelā thā
gharauñdā yuuñ khaḌā to kar liyā hai ārzūoñ kā
tamāshā hai jo vo kah deñ ki maiñ ik khel khelā thā
bahut saste chhuTe ai maut bāzār-e-mohabbat meñ
ye saudā vo hai jis meñ kyā kaheñ kyā kyā jhamelā thā
agar taqdīr meñ hotā to ik din paar bhī lagtā
ye dariyā jhelne ko yuuñ to ai dil ḳhuub jhelā thā
hamesha hasrat-e-dīdār pe dil ne qanā.at kī
baḌe dar kā mujāvir thā baḌe murshid kā chelā thā
kahāñ dil aur fusūn-e-ishq kī ghāteñ kahāñ yā rab
na paḌtā thā balāoñ meñ abhī kam-baḳht anīlā thā
jahāñ chāhe lage jis dil ko chāhe chuur kar Daale
zabāñ se pheñk maarā baat thī nāseh ki Dhelā thā
tamāsha-gāh-e-duniyā meñ batā.ūñ kyā ummīdoñ kī
tan-e-tanhā thā maiñ ai 'shād' aur reloñ pe relā thā
Top Urdushayar.com