kaaba o dair meñ jalva nahīñ yaksāñ un kā
jo ye kahte haiñ TaTole koī īmāñ un kā
justujū ke liye niklegā jo ḳhvāhāñ un kā
ghar batā degā koī mard-e-musalmāñ un kā
tū ne dīdār kā jin jin se kiyā hai vaada
haa.e re un kī ḳhushī haa.e re armāñ un kā
apne miTne kā sabab maiñ bhī batā duuñ ai shauq
kaash chhū jaa.e mirī ḳhaak se dāmāñ un kā
chhoḌ kar aa.e haiñ jo sub.h-e-vatan sī shai ko
martaba kuchh to samajh shām-e-ġharībāñ un kā
jin kī āġhosh-e-tasavvur meñ hai vo huur jamāl
kahīñ sach ho na yahī ḳhvāb-e-pareshāñ un kā
jo is uljhāo ke ḳhud haiñ mutamannī dil se
kyā bigāḌegī tirī zulf-e-pareshāñ un kā
sar meñ saudā-e-ḳhirad paañv meñ zanjīr-e-shukūk
bhed pā.egā na is shakl se insāñ un kā
ham duā deñ tujhe dil khol ke ai pahlu-e-tañg
TuuT kar siine meñ rah jaa.e jo paikāñ un kā
chaak karne kā hai ilzām mire sar nāhaq
haath un ke haiñ ham un ke haiñ garebāñ un kā
vo miTā kyuuñ nahīñ dete mujhe hairat to ye hai
un ke kahne meñ hai dil dil meñ hai armāñ un kā
un shahīdān-e-mohabbat meñ to maiñ saaf kahūñ
koī itnā nahīñ pakḌe jo garebāñ un kā
vahī aise haiñ ki ḳhāmosh haiñ sab kī sun kar
sab ko daavā hai ki huuñ banda-e-farmāñ un kā
pahle ham nīyat-e-ḳhālis se vazū to kar leñ
Thahar ai ḳhaak Thahar paak hai dāmāñ un kā
chāheñ dozaḳh meñ utāreñ ki jagah ḳhuld meñ deñ
daḳhl kyā ġhair ko ghar un ke haiñ mehmāñ un kā
kahīñ paivand kī koshish kahīñ tadbīr-e-rafū
jāma-e-tan se bahut tañg hai uryāñ un kā
kījiye shāna o ā.īna kī hālat pe nigāh
sīna-sad-chāk koī hai koī hairāñ un kā
maan lo paañv se zanjīr bhī utrī lekin
bhaag kar jaa.e kahāñ qaidi-e-zindāñ un kā
jin shahīdoñ ne ba-sad-dard taḌap kar dī jaan
chhin gayā haath se jiitā huā maidāñ un kā
ham to kyā chiiz haiñ jibrīl to jā leñ un tak
rok letā hai farishtoñ ko bhī darbāñ un kā
mast jaate haiñ ḳharābāt se masjid kī taraf
raah pur-shor hai allāh nigah-bāñ un kā
ham shab-e-hijr ke jaage na qayāmat meñ uTheñ
jab talak ḳhvāb se chauñkā.e na armāñ un kā
vahm tū hī ḳhalal-andāz huā hai varna
kaun juuyā nahīñ ai rahzan-e-īmāñ un kā
din qayāmat kā Dhalā sab ne murādeñ pā.īñ
rah gayā dekh ke muñh tāba-e-farmāñ un kā
marne vāloñ kā agar saath diyā puurā kar
le janāza bhī uThā hasrat o armāñ un kā
haq jatāte haiñ shahīdān-e-mohabbat bekār
kyā ye marnā thā baḌā kār-e-numāyāñ un kā
'shād' ghabrā gayā ik umr se jiite jiite
vo bulā leñ mujhe is vaqt to ehsāñ un kā