Shad Azimabadi

ghaflat mein hui auqat basar ai umr-e-gurezan kuchh na kiya

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
ġhaflat meñ huī auqāt basar ai umr-e-gurezāñ kuchh na kiyā
sab chalne ke the sāmān baham chalne hī kā sāmāñ kuchh na kiyā
vaa.iz ne bhare ḳham chuur kiye tar kar dī zamīñ ai pīr-e-muġhāñ
zālim ne zarā bhī terā lihāz ai rahbar-e-īmāñ kuchh na kiyā
a.amāl kī zishtī kā badlā maiñ kah nahīñ saktā kyā miltā
bhejā bhī agar dozaḳh meñ tujhe ai sāhab-e-īmāñ kuchh na kiyā
mai piine kā dil meñ josh na thā zāhir kī talab thī hosh meñ aa
saaqī ne milāyā zahar agar ai munkir-e-ehsāñ kuchh na kiyā
maanā ki baḌī saffāk hai tū bil-farz baḌī jallād hai tū
maiñ jiitā rahā tā-sub.h agar to ai shab-e-hijrāñ kuchh na kiyā
taklīf kisī ko gar pahūñchī tū is meñ takalluf kyā niklā
hairān jo rakhā qātil ko to ai shab-e-hijrāñ kuchh na kiyā
ulTā na irāq-o-shām-o-halab duniyā na huī vīrān to kyā
jal-thal na lahū se to ne bharā to ḳhūn-e-musalmāñ kuchh na kiyā
suntā huuñ adū ko ḳhaak kiyā miTTī meñ milāyā ghar us kā
phūñkā na jalā kar mujh ko agar tū ai shab-e-hijrāñ kuchh na kiyā
kyā jī ke karūñgā maiñ tanhā yaañ taab kahāñ baaqī dil ko
be-maut ke ab maarā na mujhe to dāġh-e-azīzāñ kuchh na kiyā
jumbish se tirī maqtal hotā ik aan meñ dasht-e-karb-o-balā
ushshāq kī bebākī kā evaz ai abrū-e-barrāñ kuchh na kiyā
ai nañg-e-jahāñ ai 'shād' batā kuchh sharm bhī tujh ko hai ki nahīñ
ai jehl-e-murakkab ai haivāñ ai be-ḳhabar insāñ kuchh na kiyā
Top Urdushayar.com