bahut kuchh bhuul ho ga.ī bhūlne kā 'shād' sun aayā
mirī jaañ ġham abas hai jhiḌkiyāñ sunñe kā din aayā
zarūr us ne kiyā qāsid se va.ada apne aane kā
gayā thā muztarib yaañ se vahāñ se mutma.in aayā
dil-e-sad-pāra se nisbat nahīñ zinhār ai bulbul
chaman meñ jā ke āshiq patiyāñ phūloñ kī gin aayā
baḌī azmat se ḳhud saaqī ne jā kar peshvā.ī kī
sharābī koī mai-ḳhāna ke andar jab musin aayā
chalo vaa.iz se hargiz kuchh na bolo chup raho rindo
huā josh-e-ġhazab yā sar pe us nādāñ ke jin aayā
marīz-e-ġham kī sehat kī ḳhabar allāh sunvā.e
gayā jo paas us ke 'shād' vo phir mutma.in aayā