Shad Azimabadi

bhul na usko dhun hai jidhar ki chaunk musafir raat nahin hai

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
bhuul na us ko dhun hai jidhar kī chauñk musāfir raat nahīñ hai
shakl numāyāñ hogī sahar kī chauñk musāfir raat nahīñ hai
āñkheñ malte sehn-e-chaman meñ jhuum ke uTThe niiñd ke maate
dekh sabā ne aa ke ḳhabar kī chauñk musāfir raat nahīñ hai
niile niile rañg ke uupar baḌhtī hī jaatī hai safedī
ho ga.ī rañgat zar-o-qamar kī chauñk musāfir raat nahīñ hai
zor na tāqat sañg na sāthī paañv se apne aap hai chalnā
tujh pe hai bhārī rāh-e-safar kī chauñk musāfir raat nahīñ hai
tujh pe maiñ qurbāñ jaanī pyāre ham-nafas-o-ham-dard hamāre
tujh se hai ulfat maiñ ne ḳhabar kī chauñk musāfir raat nahīñ hai
pañkh-pakherū ḳhvāb se chauñke sab ne ḳhushī ke na.are maare
aa.ī sadā murġhān-e-sahar kī chauñk musāfir raat nahīñ hai
kuuch kī saa.at aa ga.ī sar par 'shād' uThā le jholī-bistar
niiñd meñ saarī raat basar kī chauñk musāfir raat nahīñ hai
Top Urdushayar.com