Shad Azimabadi

kaba bhi hai TuTa hua but-KHana hamara

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
ka.aba bhī hai TuuTā huā but-ḳhāna hamārā
yārab rahe ābād ye vīrāna hamārā
bātin kī tarah paak hai ḳhum-ḳhāna hamārā
kyuuñ kar na achhūtā rahe paimāna hamārā
jo sham.a huā kartī hai raushan sar-e-bāzār
us sham.a pe girtā nahīñ parvāna hamārā
saaqī tirā mai-ḳhāna rahe hashr tak ābād
bhar jaatā hai kashkol-e-gadāyāna hamārā
bah jā.egā is bazm meñ ik faiz kā dariyā
aatā hai chhalaktā huā paimāna hamārā
chal sū-e-adam chal hameñ kyā uzr hai ai maut
tayyār hai sāmān-e-ġharībāna hamārā
ban jaatā hai phir shaiḳh kā bhī murshid-e-kāmil
Dagtā nahīñ piitā hai jo paimāna hamārā
kis zulf ko suljhā.eñ raqībān-e-siyah-kār
chhūtā nahīñ is zulf ko phir shāna hamārā
fariyād-kunāñ haiñ kisī pāzeb ke daane
toḌe kahīñ zanjīr na dīvāna hamārā
ḳhāroñ se ye kah do ki gul-e-tar se na uljheñ
sīkhe koī andāz-e-sharīfāna hamārā
tāsīr na ho 'shād' to denā hameñ ilzām
kuchh der to sun vaa.iz hakīmāna hamārā
Top Urdushayar.com