Shad Azimabadi

ab intiha ka tere zikr mein asar aaya

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
ab intihā kā tire zikr meñ asar aayā
ki muñh se naam liyā dil meñ tū utar aayā
bahut dinoñ pe mirī chashm meñ nazar aayā
ai ashk ḳhair to hai tū kidhar kidhar aayā
hazār shukr ki is dil meñ tū nazar aayā
ye naqsha safha-e-ḳhālī pe jald utar aayā
bashar habāb kī sūrat hameñ nazar aayā
bharī jo qatre ke andar havā ubhar aayā
zabāñ pe aatā hai naala bhī sau karishmoñ se
kahāñ se aap ke andāz kā asar aayā
adam meñ aish hai chaltā huuñ maiñ bhī le ai dil
jahāñ meñ jitne musībat ke din the bhar aayā
likhe ko roiye ab ta-ba-hashr turbat meñ
ki mere marne pe ḳhat le ke nāma-bar aayā
paḌā hai shab se yuuñ hī ab talak na lī karvaT
dil-e-sitam-zada us kī galī se mar aayā
hazār shukr ḳhudā kā yahī ġhanīmat hai
na ḳhair aayā mire dil ko aur shar aayā
riyā to dil meñ thī māthe pe ab hai us kā nishāñ
kahāñ kā daaġh kahāñ daf.atan ubhar aayā
muqīm-e-dil hai Dañvāñ Dol rah ke ab īmāñ
butoñ ke qahr se chhūTā ḳhudā ke ghar aayā
hamāre pā-e-talab ne baḌī muhim sar kī
ki kaT ke sāmne qātil ke apnā sar aayā
sharāb pī ke maiñ pahuñchā falak pe ai saaqī
kahāñ se un ka.ī qatroñ meñ ye asar aayā
vo chāhe bad kahe qāsid butoñ ko yā mujh ko
haram meñ chain se īmān jā ke dhar aayā
lahad meñ shāna hilā kar ye maut kahtī hai
le ab to chauñk musāfir ki apne ghar aayā
hazār shukr huā āftāb-e-hashr tulū
baḌī to laaj rahī ye ki tū nazar aayā
gavāhiyāñ huiiñ aazā kī hashr meñ maqbūl
vo paak ho ga.e ilzām mere sar aayā
hujūm-e-ġham ne sikhāne kī laakh koshish kī
hameñ to aah bhī karnā na umr bhar aayā
jo chand din meñ hue zī-kamāl kaun haiñ 'shād'
hameñ to sher kā kahnā na umr bhar aayā
usī ko sher samajhte haiñ 'shād' ahl-e-mazāq
udhar paḌhā ki diloñ meñ idhar utar aayā
Top Urdushayar.com