na dil apnā na ġham apnā na koī ġham-gusār apnā
ham apnā jānte har chiiz ko hotā jo yaar apnā
jame kis tarah is hairat-kade meñ e'tibār apnā
na dil apnā na jaan apnī na ham apne na yaar apnā
haqīqat meñ hamīñ ko jab nahīñ ḳhud e'tibār apnā
ġhalat samjhī agar samjhī hai tan ko jān-e-zār apnā
kahīñ hai daam armāñ kā kahīñ daane ummīdoñ ke
ajal kartī hai kis kis ghaat se ham ko shikār apnā
ilāhī ḳhair ho ab ke bahār-e-bāġh ne phir bhī
jamāyā be-tarah bulbul ke dil par e'tibār apnā
jo mai ko Dhaal bhī leñ ham to saaqī ke ishāre par
nahīñ is ke alāva mai-kade meñ iḳhtiyār apnā
agar qāsid haqīqat meñ payām-e-vasl laayā hai
to kyuuñ aañsū bhare muñh dekhtā hai ġham-gusār apnā
zarūrat kyā kisī ko is taraf ho kar guzarne kī
alag ai bekasī bastī se hai kosoñ mazār apnā
ma.aaz allāh furqat kī haiñ rāteñ qabr kī rāteñ
abhī se yaañ huā jaatā hai sun sun kar fishār apnā
guloñ kī surḳh rañgat jism meñ lauke lagātī hai
dikhātī hai tamāshā kis kī āñkhoñ ko bahār apnā
ḳhatar kyā kashti-e-mai ko bhalā mauj-e-havādis kā
na beḌā paar ho kyūñkar ki ḳhud saaqī hai yaar apnā
chhupā legā kisī din arsh tak ko apne dāman meñ
dikhā degā tamāshā phail kar musht-e-ġhubār apnā
ḳhabar kyā ġhaib kī ġham-ḳhvār ko aur yaañ ye aalam hai
kahā jaatā nahīñ apnī zabāñ se hāl-e-zār apnā
nahīñ kartā gavārā rāh-rau ke dil pe mail aanā
uḌā kartā hai raste se alag haT kar ġhubār apnā
dam aayā naak meñ fariyādiyoñ ke shor o ġhauġhā se
qayāmat meñ abas kyuuñ khīñch laayā intishār apnā
ham ik mehmāñ haiñ ham se dostī karne kā hāsil kyā
nahīñ kuchh is jahāñ meñ ai shab-e-ġham e'tibār apnā
kuchh aisā kar ki ḳhuld ābād tak ai 'shād' jā pahuñcheñ
abhī tak raah meñ vo kar rahe haiñ intizār apnā