Shad Azimabadi

kis pe qabu jo tujhi pe nahin qabu apna

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
kis pe qaabū jo tujhī pe nahīñ qaabū apnā
kis se ummīd hameñ jab na huā tū apnā
jām-e-mai dekh ke jaatā rahā qaabū apnā
laḌkhaḌātā huuñ pakaḌ le koī baazū apnā
nik.hat-e-gul bahut itrātī huī phirtī hai
vo kahīñ khol bhī deñ turra-e-gesū apnā
us ne phir kar bhī na dekhā ki ye hai kaun balā
ham ko thā zom ki chal jā.egā jaadū apnā
jis ko samjhe ho vahī chiiz nahīñ muddat se
ham dikhā deñge kabhī chiir ke pahlū apnā
par-e-parvāz nikalne de qafas meñ sayyād
kaam degā yahī TuuTā huā baazū apnā
mil ga.e ḳhaak meñ dar par tire itnā baiThe
is riyāzat pe bhī ab tak na huā tū apnā
ġham nahīñ jām-e-tilākār uThā rakh saaqī
kyā ġharaz ham ko salāmat rahe chullū apnā
chaukḌī bhuul ke muñh takte haiñ mujh vahshī ke
aake is paañv pe sar rakhte haiñ aahū apnā
kaun ai tūl-e-shab-e-ġham tirā jhagḌā rakkhe
aaj qissa hī kiye dete haiñ yaksū apnā
nik.hat-e-ḳhuld-e-barīñ phail ga.ī kosoñ tak
vo nahā kar jo sukhāne lage gesū apnā
lillāhil-hamd kudūrat nahīñ rahne paatī
muñh dhulā detā hai har sub.h ko aañsū apnā
shādī o ġham ke raheñge yahī ragḌe jhagḌe
qissa jis vaqt talak hogā na yaksū apnā
ġham meñ parvāna-e-marhūm ke thamte nahīñ ashk
sham.a ai sham.a zarā dekh to muñh tū apnā
be-adab mus.haf-e-ruḳhsār pe jhuk paḌte haiñ
rakhiye shānoñ pe zarā gher ke gesū apnā
sīna-e-tañg se ghabrā ke gayā dil to gayā
muñh dikhā.e na mujhe ab ye siyah-rū apnā
phañsne vaalā thā phañsā aa ke tirī zulfoñ meñ dil
ba-ḳhudā is meñ nahīñ jurm sar-e-mū apnā
shaam se jeb meñ ik talḳh davā rakkhī hai
aaj qissa hī kiye dete haiñ yaksū apnā
vahm o idrāk o ḳhayālāt o dil o ḳhvāhish-e-dil
sab to apne haiñ magar kyuuñ nahīñ qaabū apnā
'shād' samjhāte haiñ kyuuñ ġhair liyā kyā un kā
chashm-e-tar apnī hai jaan apnī hai aañsū apnā
Top Urdushayar.com