Shad Azimabadi

ho ke KHush naz hum aison ke uThane wala

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
ho ke ḳhush naaz ham aisoñ ke uThāne vaalā
koī baaqī na rahā agle zamāne vaalā
ḳhvāb tak meñ bhī nazar aatā nahīñ ai chashm
mere ro dene pe ashkoñ kā bahāne vaalā
aaj kuchh shaam se chup hai dil-e-mahzūñ kyā ilm
kyuuñ ḳhafā hai mirā rātoñ kā jagāne vaalā
be-ḳhudī kyuuñ na ho taarī ki gayā siine se
ashk-e-ḳhūñ āTh-pahr mujh ko rulāne vaalā
kab samajhtā hai ki jiinā bhī hai āḳhir koī shai
apnī hastī tirī ulfat meñ miTāne vaalā
mohtasib ḳhush hai bahut toḌ ke ḳhum-hā-e-sharāb
ġham nahīñ sar pe salāmat hai pilāne vaalā
ho ga.e dekhne vaale bhī jahāñ se nāyāb
ab dikhā.e kise hairāñ hai dikhāne vaalā
tere bīmār-e-mohabbat kī ye hālat pahuñchī
ki haTāyā gayā takiya bhī sirhāne vaalā
sāmnā us but-e-kāfir kā hai dekheñ kyā ho
ḳhud hai shashdar mirā īmān bachāne vaalā
'shād' ik bhiiḌ lagī rahtī thī jis ghar meñ vahāñ
aane vaalā hai na ab koī na jaane vaalā
Top Urdushayar.com