Shad Azimabadi

KHizar kya hum to is jine mein bazi sab se jite hain

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
ḳhizar kyā ham to is jiine meñ baazī sab se jiite haiñ
dam ab uktā gayā allāhu-akbar kab se jiite haiñ
samajh le qāsidoñ ne kuchh to aisī hī ḳhabar dī hai
kaheñ kyā tujh se ai nāseh ki jis matlab se jiite haiñ
kisī hālat na ham se baḌh sakegī raat furqat kī
ki ham baazī siyah-baḳhtī meñ bhī is shab se jiite haiñ
dam apnā ghuT ke kab kā hijr-e-jānāñ meñ nikal jaatā
madad-gārī-e-shor-e-na.ara-e-yārab se jiite haiñ
ise bāvar kar ai ġham-ḳhvār kab ke mar ga.e hote
payām-e-vasl jab se sun liyā hai tab se jiite haiñ
zabāñ qaabū meñ hai sunñe ko tashbīheñ sune jaao
nazākat meñ kahāñ aurāq-e-gul us lab se jiite haiñ
abas daryāft karte ho sabab is saḳht-jānī kā
ḳhudā jaane ki ham ai 'shād' kis matlab se jiite haiñ
Top Urdushayar.com