Shad Azimabadi

ye raat bhayanak hijr ki hai kaTenge baDe aalam se hum

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
ye raat bhayānak hijr kī hai kāTeñge baḌe ālām se ham
Talne kī nahīñ ye kaalī balā samjhe hue the shaam se ham
jab qais pahāḌ is sar se Tale iid aa.ī tab aa.ī jaan meñ jaan
tā der ajab aalam meñ rahe hoñToñ ko milā.e jaam se ham
thā maut kā khaTkā jāñ-farsā sad shukr ki niklā vo kāñTā
gar ho na qayāmat kā dhaḌkā ab to haiñ baḌe ārām se ham
tā-manzil-e-jānāñ saath rahā kam-baḳht tasavvur ġhairoñ kā
shauq apne qadam khīñchā hī kiyā palTā hī kiye har gaam se ham
ulfat ne unhīñ kī haq kī taraf pherā mire dil ko shukr-e-ḳhudā
tāmīr kareñ masjid koī kyūñkar na butoñ ke naam se ham
ai ham-nafaso dam lene do bhūle hue naġhme yaad aa leñ
aa.e haiñ chaman meñ uḌ ke abhī chhūTe haiñ isī dam daam se ham
bātoñ meñ guzarte hijr ke din ai kaash ki donoñ mil jaate
ham se hai dil-e-nākām ḳhafā āzurda dil-e-nākām se ham
yuuñ un ke adab yā ḳhātir se har baat ko le leñ apne sar
jab dil hai unhīñ ke qaabū meñ phir paak haiñ har ilzām se ham
vo samjhe ki ham ne maar liyā ham samjhe mileñge āḳhir vo
milte hī nigah ke donoñ ḳhush āġhāz se vo anjām se ham
duniyā meñ taḳhallus koī na thā kyā niil kā Tiikā 'shād' hī thā
tum vaj.h na pūchho kuchh is kī chiḌh jaate haiñ kyuuñ is naam se ham
Top Urdushayar.com