ai but jafā se apnī liyā kar vafā kā kaam
bandoñ ke kaam aa ki yahī hai ḳhudā kā kaam
kis jā thā qasd shauq ne pahuñchā diyā kidhar
kahte na the Thagoñ se na le rahnumā kā kaam
kahtā hai dil sunā mujhe gesū kī dāstāñ
aaj us ne sar pe Daal diyā hai balā kā kaam
tāsīr ko na aah se pūchhūñ to kyā karūñ
kyuuñ ḳhud uThā liyā dil-e-be-mudda.ā kā kaam
apnī sī tū to kar unheñ phir iḳhtiyār hai
sunñā hai un kā kaam pahuñchnā duā kā kaam
siine meñ daaġh khilte hī jaate haiñ har nafas
ab apnī saañs kartī hai bād-e-sabā kā kaam
muusā faqat na the tire ā.īna-dāroñ meñ
iisā bhī karte the lab-e-mojiz-numā kā kaam
har raat apnī āñkhoñ ko ronā hai farz-e-ain
tā.at-guzār karte haiñ jaise ḳhudā kā kaam
thā bhī zalīl husn kī sarkār meñ ye dil
kam-baḳht ko supurd huā iltijā kā kaam
ai 'shād' merī saḳht-zabānī pe hai ḳhamosh
nāseh bhī ab to karne lagā ambiyā kā kaam