Shad Azimabadi

jahan hai maktab-e-hasti sabaq hai chup rahna

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
jahāñ hai maktab-e-hastī sabaq hai chup rahnā
baḌā gunāh yahāñ hai alif se be kahnā
shab-e-firāq meñ saa.e se Dar ke kahtā huuñ
ajī ye raat Darānī hai jāgte rahnā
chaman meñ phuul khile baaġh meñ bahār aa.ī
urūs-e-dahr ne goyā pahan liyā gahnā
hamārī āh-o-bakā se hai jism-e-shauq qavī
ye haath bāyāñ hai apnā vo haath hai dahnā
fuġhān-e-bulbul-e-shaidā na jāniye is ko
bajā rahā hai koī sehn-e-bāġh meñ shahna
ġham-e-firāq meñ ai āsmāñ nahīñ mauqūf
vo jo suhā.eñ mujhe mujh ko har tarah sahnā
nikāl de ki hai aise meñ jū-e-ashk-e-ravāñ
burā hai baat kā ai chashm-e-dil meñ le rahnā
galī meñ yaar kī ho yā kisī ḳharābe meñ
hameñ to hashr ke din tak kahīñ pe mar rahnā
asar bhī 'shād' ke sheroñ meñ hai matānat bhī
ye kohna-mashq haiñ in kī ġhazal kā kyā kahnā
Top Urdushayar.com