Shad Azimabadi

nalon ki kashakash sah na saka KHud tar-e-nafas bhi TuT gaya

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
nāloñ kī kashākash sah na sakā ḳhud tār-e-nafas bhī TuuT gayā
ik umr se thī taklīf jise kal shab ko vo qaidī chhūT gayā
thī terī tamannā kāhish-e-jāñ is dard se meñ dīvāna thā
chhālā thā dil apne siine meñ ai vā-asfā vo phuuT gayā
sab apnī hī apnī dhun meñ phañse terā to na niklā kaam koī
jo aayā tire darvāze par vo apnā hī māthā kuuT gayā
tābūt pe mere aa.e jo miTTī meñ milāyā yuuñ kah kar
phailā diye dast-o-pā apne itne hī meñ bas jī chhūT gayā
aayā thā yahī dil meñ mere rindoñ hī pe kalī bhī pheñkūñ
saaqī kā ishāra paate hī meñ zahr-e-sitam ko ghuuT gayā
ho hindū-e-ḳhāl-e-lab terā yā tark-e-nigah ho ai qātil
dehlī thā hamārā dil shāyad jo aayā vo us ko luuT gayā
nāzuk thā bahut kuchh dil merā ai 'shād' tahammul ho na sakā
ik Thes lagī thī yuuñ hī sī kiyā jald ye shīsha TuuT gayā
Top Urdushayar.com