kis burī saa.at se ḳhat le kar gayā
nāma-bar ab tak na aayā mar gayā
jaate hī dil us galī meñ mar gayā
marne vaalā bevafā.ī kar gayā
dil to jaane ko gayā lekin mujhe
us bharī mahfil meñ rusvā kar gayā
hasrateñ thiiñ jiine vaalī jī ga.iiñ
marne vaalā thā dil apnā mar gayā
ġham kī lazzat ibtidā meñ thī magar
is qadar khāyā ki ab jī bhar gayā
har nivāla us kā ab to talḳh hai
umr nemat thī magar jī bhar gayā
kyā kahūñ ahvāl uThtī bazm kā
pahle miinā baad ko sāġhar gayā
dil ne ik din bhī na dekhā tujh ko aah
us galī tak ḳhvāb meñ aksar gayā
marne vaale dil tujhe ab kyā kahūñ
ḳhair baḳhshā maiñ ne jo kuchh kar gayā
kyā kahūñ in āñsuoñ kā zor o shor
āñkheñ jhapkī thiiñ ki chullū bhar gayā
dil gila kartā thā ḳhuub us shoḳh kā
tazkira mahshar kā sun kar Dar gayā
jis jagah daarā ko bhejā thā vahīñ
kuchh dinoñ ke baad askandar gayā
jis kā kahlātā hai vaañ thī kyā kamī
ai gadā kyuuñ māñgne dar-dar gayā
dil ne sabqat kī havās o sabr par
pahle sultāñ baad ko lashkar gayā
muñh se niklā thā ki pahuñchā arsh par
nāla-e-dil naam ūñchā kar gayā
dil ye umDā mai se ḳhālī dekh kar
jaam ashkoñ se labālab bhar gayā
gir na jaa.e ḳhaak par qatra koī
bas bas ai saaqī ki sāġhar bhar gayā
mai-kasho mātam karo ab 'shād' kā
haa.e kyā mai-ḳhvār rahlat kar gayā
'shād' kyā kuchh kam haiñ do kam saaTh saal
zindagī se bas dil apnā bhar gayā