Shad Azimabadi

ab bhi ek umr pe jine ka na andaz aaya

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
ab bhī ik umr pe jiine kā na andāz aayā
zindagī chhoḌ de pīchhā mirā maiñ baaz aayā
muzhda ai ruuh tujhe ishq sā dam-sāz aayā
nakbat-e-faqr ga.ī shāh-e-sar-afrāz aayā
paas apne jo nayā koī fusūñ-sāz aayā
ho rahe us ke hameñ yaad tirā naaz aayā
piite piite tirī ik umr kaTī us par bhī
piine vaale tujhe piine kā na andāz aayā
dil ho yā ruuh o jigar kaan khaḌe sab ke hue
ishq aayā ki koī mufsida-pardāz aayā
le rahā hai dar-e-mai-ḳhāna pe sun-gun vaa.iz
rindo hushyār ki ik mufsida-pardāz aayā
dil-e-majbūr pe is tarah se pahuñchī vo nigāh
jaise usfūr pe par tol ke shahbāz aayā
kyuuñ hai ḳhāmosh dilā kis se ye sargoshī hai
maut aa.ī ki tire vāste hamrāz aayā
dekh lo ashk-e-tavātur ko na pūchho mirā haal
chup raho chup raho is bazm meñ ġhammāz aayā
is ḳharābe meñ to ham donoñ haiñ yaksāñ saaqī
ham ko piine tujhe dene kā na andāz aayā
naala aatā nahīñ kan-ras hai faqat ai bulbul
mard-e-sayyāh huuñ sun kar tirī āvāz aayā
dil jo ghabrā.e qafas meñ to zarā par kholūñ
zor itnā bhī na ai hasrat-e-parvāz aayā
dekhiye nāla-e-dil jā ke lagā.e kis se
jis kā khaTkā thā vahī mufsida-pardāz aayā
mudda.ī basta-zabāñ kyuuñ na ho sun kar mire sher
kyā chale sehr kī jab sāhib-e-ejāz aayā
rind phailā.e haiñ chullū ko takalluf kaisā
sāqiyā Dhaal bhī de jaam ḳhudā-sāz aayā
na gayā par na gayā sham.a kā ronā kisī haal
go ki parvāna-e-marhūm sā dam-sāz aayā
ek chupkī meñ gulū tum ne nikāle sab kaam
ġhamza aayā na karishma na tumheñ naaz aayā
dhyān rah rah ke udhar kā mujhe dilvātā hai
dam na aayā mire tan meñ koī dam-sāz aayā
kis tarah maut ko samjhūñ na hayāt-e-abadī
aap aa.e ki koī sāhib-e-ejāz aayā
be-'anīs' ab chaman-e-nazm hai vīrāñ ai 'shād'
haa.e aisā na koī zamzama-pardāz aayā
Top Urdushayar.com