DhūñDoge agar mulkoñ mulkoñ milne ke nahīñ nāyāb haiñ ham
jo yaad na aa.e bhuul ke phir ai ham-nafaso vo ḳhvāb haiñ ham
maiñ hairat o hasrat kā maarā ḳhāmosh khaḌā huuñ sāhil par
dariyā-e-mohabbat kahtā hai aa kuchh bhī nahīñ pāyāb haiñ ham
ho jaa.e bakheḌā paak kahīñ paas apne bulā leñ behtar hai
ab dard-e-judā.ī se un kī ai aah bahut betāb haiñ ham
ai shauq burā is vahm kā ho maktūb tamām apnā na huā
vaañ chehre pe un ke ḳhat niklā yaañ bhūle hue alqāb haiñ ham
kis tarah taḌapte jī bhar kar yaañ zo.af ne mushkīñ kas diiñ haiñ
ho band aur ātish par ho chaḌhā sīmāb bhī vo sīmāb haiñ ham
ai shauq patā kuchh tū hī batā ab tak ye karishma kuchh na khulā
ham meñ hai dil-e-betāb nihāñ yā aap dil-e-betāb haiñ ham
lākhoñ hī musāfir chalte haiñ manzil pe pahuñchte haiñ do ek
ai ahl-e-zamāna qadr karo nāyāb na hoñ kam-yāb haiñ ham
murġhān-e-qafas ko phūloñ ne ai 'shād' ye kahlā bhejā hai
aa jaao jo tum ko aanā ho aise meñ abhī shādāb haiñ ham