Shad Azimabadi

hargiz kabhi kisi se na rakhna dila gharaz

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
hargiz kabhī kisī se na rakhnā dilā ġharaz
jab kuchh ġharaz nahīñ to zamāne se kyā ġharaz
phailā ke haath muft meñ hoñge zalīl ham
mahrūm tere dar se phiregī duā ġharaz
duniyā meñ kuchh to ruuh ko is jism se hai kaam
miltā hai varna kaun kisī se bilā ġharaz
vasl o firāq o hasrat o ummīd se khulā
hamrāh hai har ek baqā ke fanā ġharaz
ik phir ke dekhne meñ ga.ī saikḌoñ kī jaañ
terī har ik adā meñ bharī hai jafā ġharaz
dekhā to thā yahī sabab-e-hasrat-o-alam
majbūr ho ke tark kiyā mudda.ā ġharaz
kyūñkar na ruuh o jism se ho chand din milāp
is ko judā ġharaz hai to us ko judā ġharaz
ilzām tā-ki sar pe kisī tarah kā na ho
ai 'shād' DhūñDtī hai bahāne qazā ġharaz
Top Urdushayar.com