Shad Azimabadi

gham-e-firaq mai o jam ka KHayal aaya

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
ġham-e-firāq mai o jaam kā ḳhayāl aayā
safed baal liye sar pe ik vabāl aayā
milegā ġhair bhī un ke gale ba-shauq ai dil
halāl karne mujhe iid kā hilāl aayā
agar hai dīda-e-raushan to āftāb ko dekh
udhar uruuj huā aur idhar zavāl aayā
luTā.e dete haiñ in motiyoñ ko dīda-e-shauq
bhar aa.e ashk ki muflis ke haath maal aayā
lagī nasīm-e-bahārī jo ma.arifat gaane
guloñ pe kuchh nahīñ mauqūf sab ko haal aayā
payām-bar ko abas de ke ḳhat udhar bhejā
ġharīb aur vahāñ se shikasta-hāl aayā
ḳhudā ḳhudā karo ai 'shād' is pe naḳhvat kyā
jo shā.irī tumheñ aa.ī to kyā kamāl aayā
Top Urdushayar.com