kuchh kahe jaatā thā ġharq apne hī afsāne meñ thā
marte marte hosh baaqī tere dīvāne meñ thā
haa.e vo ḳhud-raftagī uljhe hue sab sar ke baal
vo kisī meñ ab kahāñ jo tere dīvāne meñ thā
jis taraf jaa.e nazar apnā hī jalva thā ayaañ
jism meñ ham the ki vahshī ā.īna-ḳhāne meñ thā
boriyā thā kuchh shabīna mai thī yā TuuTe subū
aur kyā is ke sivā mastoñ ke vīrāne meñ thā
hañste hañste ro diyā karte the sab be-iḳhtiyār
ik na.ī tarkīb kā dard apne afsāne meñ thā
sun chuke jab haal merā le ke añgḌā.ī kahā
kis ġhazab kā dard zālim tere afsāne meñ thā
duun kī letā to hai zāhid magar maiñ kyā kahūñ
muttaqī saaqī se baḌh kar kaun mai-ḳhāne meñ thā
paas thā zanjīr tak kā tauq par kyā munhasir
vo kisī meñ ab kahāñ jo tere dīvāne meñ thā
der tak maiñ TakTakī bāñdhe hue dekhā kiyā
chehra-e-sāqiī numāyāñ saaf paimāne meñ thā
haa.e parvāne kā vo jalnā vo ronā sham.a kā
maiñ ne rokā varna kyā aañsū nikal aane meñ thā
ḳhud-ġharaz duniyā kī hālat qābil-e-ibrat thī 'shād'
lutf milne kā na apne meñ na begāne meñ thā
'shād' kuchh pūchho na mujh se mere dil ke daaġh ko
TimTimātā sā charāġh ik apne vīrāne meñ thā