lapaT vo zulf kī jāñ-baḳhsh aur vo pyārī raat
basar huī kabhī aisī bhī saarī saarī raat
kahāñ vo bistar-e-dībā hasīr-e-kohna kahāñ
kujā amīroñ kī rāteñ kahāñ hamārī raat
firāq-e-yād meñ guzrā hai jaise saarā din
yuuñ hī kaTegī ba-sad āh-o-be-qarārī raat
udaas shaam se baiThe haiñ chāragar saare
zarūr hai tire bīmār-e-ġham pe bhārī raat
sahar ke pahle hī ai 'shād' so rahūñgā maiñ
satā ke mujh ko uThā.egī sharmsārī raat