Shad Azimabadi

hazaron aarzuen sath hain is par akeli hai

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
hazāroñ ārzūeñ saath haiñ is par akelī hai
hamārī ruuh be-būjhī huī ab tak pahelī hai
buḌhāpā ho to ho us rabt meñ kyuuñ kar ḳhalal aa.e
mirī yās-o-tamanna bachpane se saath khelī hai
ajal bhī Tal ga.ī dekhī ga.ī hālat na āñkhoñ se
shab-e-ġham meñ musībat sī musībat ham ne jhelī hai
adam kā thā safar jab aur kuchh tosha na haath aayā
bahut sī aarzū chalte chalāte saath le lī hai
zarā dekho to un utre hue chehroñ ko phūloñ ke
ma.āz-allāh jhoñkā hai ḳhizāñ kā yā ki selī hai
kabhī jamne na detī be-ḳhudī ḳhātir pe naqsh un kā
ba-mushkil maiñ ne ye tasvīr usī ayyār se lī hai
hamārī aur guloñ kī ek hai nashv-o-numā lekin
vahāñ muTThī meñ zar hai aur yahāñ ḳhālī hathelī hai
na pūchho 'shād' vīrānī ko dil kī kyā batā.ūñ maiñ
tamannā jā chukī hasrat ġharīb is meñ akelī hai
Top Urdushayar.com