Shad Azimabadi

agar marte hue lab par na tera nam aaega

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
agar marte hue lab par na terā naam aa.egā
to maiñ marne se dar-guzrā mire kis kaam aa.egā
use bhī Thaan rakh saaqī yaqīñ hogā na rindoñ ko
agar zāhid pahan kar jāma-e-ehrām aa.egā
shab-e-furqat meñ dard-e-dil se maiñ us vāste ḳhush huuñ
zabāñ par raat bhar rah rah ke terā naam aa.egā
lagī ho kuchh to qāsid āḳhir is kam-baḳht dil meñ bhī
vahāñ terī tarah jo jā.egā nākām aa.egā
isī ummīd meñ bāñdhe hue haiñ TakTakī mai-kash
kaf-e-nāzuk pe saaqī rakh ke ik din jaam aa.egā
yahāñ apnī paḌī hai tujh se ai ġham-ḳhvār kyā uljhūñ
ye kaun ārām hai mar jā.ūñ tab ārām aa.egā
zahe izzat jo ho is bazm meñ mazkūr ai vaa.iz
balā se gar gunahgāroñ meñ apnā naam aa.egā
hazār inkār yā qat-e-ta.alluq us se kar nāseh
magar hir-phir ke hoñToñ par usī kā naam aa.egā
atā kī jab ki ḳhud pīr-e-muġhāñ ne pī bhī le zāhid
ye kaisā sochnā hai tujh pe kyuuñ ilzām aa.egā
paḌā hai silsila taqdīr kā sayyād ke bas meñ
chaman meñ ai sabā kyūñkar asīr-e-dām aa.egā
koī badmast ko detā hai saaqī bhar ke paimāna
tirā kyā jā.egā mujh par abas ilzām aa.egā
unheñ dekhegī tū ai chashm-e-hasrat vasl meñ yā maiñ
tire kaam aa.egā ronā ki mere kaam aa.egā
hamesha kyā piyūñgā maiñ isī kohna-sifālī maiñ
mire aage kabhī to sāġhar-e-zarfām aa.egā
kahāñ se lā.ūñ sabr-e-hazrat-e-ayyūb ai saaqī
ḳhum aa.egā surāhī aa.egī tab jaam aa.egā
chhurī thī kund terī yā tire qātil kī o bismil
taḌap bhī tū tirī gardan pe kyuuñ ilzām aa.egā
yahī kah kar ajal ko qarz-ḳhvāhoñ kī tarah Taalā
ki le kar aaj qāsid yaar kā paiġhām aa.egā
hamesha kyā yuuñ hī qismat meñ hai gintī ginā denā
koī naala na lab par lā.iq-e-anjām aa.egā
galī meñ yaar kī ai 'shād' sab mushtāq baiThe haiñ
ḳhudā jaane vahāñ se hukm kis ke naam aa.egā
Top Urdushayar.com