Shad Azimabadi

jab kisi ne haal puchha ro diya

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
jab kisī ne haal pūchhā ro diyā
chashm-e-tar tū ne to mujh ko kho diyā
daaġh ho yā soz ho yā dard-o-ġham
le liyā ḳhush ho ke jis ne jo diyā
ashk-rezī ke dhaḌalle ne ġhubār
jab zarā bhī dil pe dekhā dho diyā
dil kī parvā tak nahīñ ai be-ḳhudī
kyā kiyā pheñkā kahāñ kis ko diyā
kuchh na kuchh is anjuman meñ hasb-e-hāl
tū ne qassam-e-azal sab ko diyā
kisht-e-duniyā kyā ḳhabar kyā phal mile
tuḳhm-e-ġham ham ne to aa kar bo diyā
ye bhī nasha mai-kasho kuchh kam nahīñ
de na de saaqī pa tum samjho diyā
'shād' ke aage bhalā kyā zikr-e-yār
naam idhar aayā ki us ne ro diyā
zumra-e-ahl-e-qalam meñ likh ke naam
ḳhud ko nāhaq 'shād' tū ne kho diyā
Top Urdushayar.com