kyuuñ ho bahāna-jū na qazā sar se paañv tak
zālim haiñ aap kī hai adā sar se paañv tak
sākit haiñ bād-e-marg qavā sar se paañv tak
mohreñ lagā ga.ī hai qazā sar se paañv tak
ghere thī tujh ko barq-e-adā sar se paañv tak
kyuuñ naḳhl-e-tūr jal na gayā sar se paañv tak
zanjīr ban ga.ī hai qazā sar se paañv tak
goyā rageñ haiñ dām-e-balā sar se paañv tak
maiñ ḳhud zabān-e-shukr banā sar se paañv tak
Duube na kyuuñ asar meñ duā sar se paañv tak
muñh chāñd us pe zulf-e-rasā sar se paañv tak
kyuuñ loT-poT ho na adā sar se paañv tak
sidq o safā sikhātā hai nazzāra-bāz ko
ā.īna-e-jamāl tirā sar se paañv tak
qāsid kahe gayā mirī zardi-e-ruḳh kā haal
is dāstāñ ko ḳhuub rañgā sar se paañv tak
ai sham.a tujh se saaf maiñ kahtā huuñ dil kā haal
jalnā hī thā to jal na gayā sar se paañv tak
piirī meñ kāñpne lage āzā-e-jism sab
hushyār hil ga.ī ye binā sar se paañv tak
shāyad ḳhizāñ sabā kā fasāna sunā ga.ī
har naḳhl-e-bāġh kaañp gayā sar se paañv tak
dariyā-e-ishq meñ mujhe rakhnā na thā qadam
Duubā to ḳhuub Duub gayā sar se paañv tak
lī naḳhl-e-tūr kī na ḳhabar tum ne ai kalīm
tum dekhte rahe vo jalā sar se paañv tak
āġhāz hī meñ aap ne kar dī zabān band
qissa hamārā sun na liyā sar se paañv tak
phailā.eñ yā na haath ko phailā.eñ sharm se
dast-e-talab haiñ tere gadā sar se paañv tak
terā kahāñ jamāl kahāñ jalva-gāh-e-tūr
muusā na phir na dekh liyā sar se paañv tak
allāh 'shād' ġhair kī ye aib-jūiyāñ
tū ḳhud pe kar nigāh zarā sar se paañv tak