Shad Azimabadi

main shad tanha ek taraf aur duniya ki duniya ek taraf

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
maiñ 'shād' tanhā ik taraf aur duniyā kī duniyā ik taraf
saarā samundar ik taraf aañsū kā qatra ik taraf
us āfat-e-jāñ ko bhī chehra to dikhānā hī na thā
ik samt iisā dam-ba-ḳhud ġhash meñ hai muusā ik taraf
apne samand-e-nāz ko ai shahsavār aa chheḌ kar
saf-basta hāzir kab se haiñ mahv-e-tamāshā ik taraf
saaqī baġhair ahvāl ye pahuñchā hai mai-ḳhāne kā ab
jaam ik taraf hai sar-nigūñ ḳhālī hai miinā ik taraf
furqat meñ sab achchhe rahe dil kā magar ye haal hai
zaḳhm ik taraf baḌhtā gayā dāġh-e-suvaidā ik taraf
dīdār-e-jānāñ kā bhalā kyuuñ kar tahammul ho sake
tirchhī nigāheñ ek sū zulf-e-chalīpā ik taraf
vo teġh le ke kahte haiñ dekhūñ to haq par kaun hai
maiñ ik taraf 'shād' ik taraf saarā zamāna ik taraf
Top Urdushayar.com