terī zulfeñ ġhair agar suljhā.egā
aañkh vāloñ se na dekhā jā.egā
sab tarah kī saḳhtiyāñ sah jā.egā
kyuuñ dilā tū bhī kabhī kaam aa.egā
ek din aisā bhī nāseh aa.egā
ġham ko maiñ aur ġham mujhe khā jā.egā
ai falak aisā bhī ik din aa.egā
jab kiye par apne tū pachhtā.egā
vasl meñ dhaḌkā hai nāhaq hijr kā
vo din ā.eñge tujhe samjhā.egā
aa chuke ahbāb uThāne merī laash
naaz us ko dekhiye kab lā.egā
choT khaa.e dil kā mātam-dār hai
merā naala bhī taḌaptā jā.egā
chhoḌ de ham vahshiyoñ ko ai ġhubār
pīchhe pīchhe tū kahāñ tak aa.egā
muntazir hai jān-e-bar-lab-āmada
dekhiye kab phir ke qāsid aa.egā
hijr meñ naale ġhanīmat jaan le
phir to ḳhud ai zof tū pachhtā.egā
nīm-kushta haiñ to haiñ phir kyā kareñ
kuchh agar boleñ to vo sharmā.egā
josh-e-vahshat tujh pe sadqe apnī jaan
kaun talve is tarah sahlā.egā
aur bhī taḌpā diyā ġham-ḳhvār ne
ḳhud hai vahshī kyā mujhe bahalā.egā
rāh-rau tujh sā kahāñ ai ḳhizr-e-shauq
kaun terī ḳhāk-e-pā ko pā.egā
baaġh meñ kyā jaa.eñ aatī hai ḳhizāñ
gul kā utrā muñh na dekhā jā.egā
merī jaañ maiñ kyā karūñgā kuchh batā
jab tasavvur raat bhar taḌpā.egā
kyuuñ na maiñ mushtāq nāseh kā rahūñ
naam terā us ke lab par aa.egā
dil ke hāthoñ ruuh agar ghabrā ga.ī
kaun us vahshī ko phir bahalā.egā
kho ga.e haiñ donoñ jānib ke sire
kaun dil kī gutthiyāñ suljhā.egā
maiñ kahāñ vaa.iz kahāñ tauba karo
jo na samjhā ḳhud vo kyā samjhā.egā
thak ke āḳhir baiTh jā.egā ġhubār
kārvāñ muñh dekh kar rah jā.egā
dil ke hāthoñ se jo ghabrāoge 'shād'
kaun is vahshī ko phir samjhā.egā
kam na samjho shauq ko ai 'shād' tum
ik na ik baḌh ke ye aafat lā.egā
hai ḳhizāñ gul-gasht ko jaao na 'shād'
girya-e-shabnam na dekhā jā.egā
kuchh na kahnā 'shād' se hāl-e-ḳhizāñ
is ḳhabar ko sunte hī mar jā.egā