Shad Azimabadi

bhaga to bahut tha maut se main kam-baKHt ne lekin aan liya

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
bhāgā to bahut thā maut se maiñ kam-baḳht ne lekin aan liyā
un lākhoñ hī marne vāloñ meñ kyā jald mujhe pahchān liyā
jab qatl huā maiñ taḌpā bhī chhīñTeñ bhī uḌā.īñ maan liyā
ilzām ḳhud us par kyā ye nahīñ dāman ko na kyuuñ gardān liyā
tū aam farebī mujh se na kar ham mard haiñ sun le ai duniyā
jo muñh se kahā vo kar guzre jo Thaan liyā vo Thaan liyā
aqsām the yās-o-hasrat ke asnāf-e-umīd-e-behad ke
jab chalne lage ham duniyā se saath apne bahut sāmān liyā
jis haath se mujh ko qatl kiyā us haath kā kalima paḌhvāyā
lī jaan to ḳhair ehsān kiyā qātil ne magar īmān liyā
mai-ḳhāna hai jā-e-aish-o-tarab yaañ baiTh ke ronā kyā ma.anī
kyā muft kā apne sar tū ne ai dīda-e-tar tūfān liyā
us ghar meñ karam jab tū ne kiyā kuchh der Thahar ai tīr-e-nazar
bosa tire qadmoñ kā dil ne kis shauq se ai mehmān liyā
ārām-talab hone kā gumāñ juuyā pe tire lā-haul valā
tab paañv ko toḌe baiThā huuñ jab dasht-o-jabal ko chhān liyā
jis bhes meñ tū ho kyā parvā ā.inda na khā.egī dhokā
ai tālib-e-duniyā duniyā ne har tarah tujhe pahchān liyā
thī dhaar rag-e-gardan pe mirī siina bhī dabā thā qadmoñ se
ḳhanjar kā tire bosa ham ne muñh pher ke tā-imkān liyā
ai 'shād' abas hai us kā gilā vo hajv kare yā tujh se phire
tā-hashr rahā shāgird tirā ustād tujhe jab maan liyā
Top Urdushayar.com