siyāhkār siyah-rū ḳhatā-shi.ār aayā
tirī janāb meñ terā gunāhgār aayā
ḳhizāñ kā daur gayā mausam-e-bahār aayā
magar na is dil-e-be-sabr ko qarār aayā
kahīñ javāb na tū ne diyā yahāñ ke sivā
jahāñ meñ yuuñ to bahut maiñ tujhe pukār aayā
sarā-e-dahr meñ chhoḌā tan-e-kasīf apnā
ye bojh sar se musāfir tirā utaar aayā
hamāre nāla-e-dil kā na pūchhiye ahvāl
galī se yaar kī himmat bhī ab ke haar aayā
paḌī jo qais ke uupar nazar bayābāñ meñ
mujhe ġharīb ke uupar ġhazab kā pyaar aayā
na apne paañv se aanā milā galī meñ tirī
yahāñ bhī chaar ke kāñdhoñ pe maiñ savār aayā
ye iztirāb hai kyuuñ hai kidhar kā qasd ai ruuh
kahāñ se aa.ī talab kis jagah se taar aayā
burā ḳhizāñ kā ho dekhe jo sūkhe sūkhe hoñT
ġharīb phuul pe mujh ko ġhazab kā pyaar aayā
mirī na pūchh ki terī galī meñ ḳhaak huuñ maiñ
tujhī ko merī vafā kā na e'tibār aayā
lahad ne khol ke āġhosh dī jagah jo mujhe
lipaT ke rah ga.e ham ko bhī ḳhuub pyaar aayā
yaqīn jaan le saaqī ki ḳhum kī ḳhair nahīñ
ḳhudā na karda jo ab ke mujhe ḳhumār aayā
mire nasīb kahāñ is tarah ke dīda-e-tar
sunūñ ye ḳhush-ḳhabarī kaan se ki yaar aayā
nigah ne un kī jahāñ said-e-nau ko taak liyā
adā ne un kī kahā le nayā shikār aayā
tire firāq ke ḳhūgar na mar miTe jab tak
qazā ke aane kā tab tak na e'tibār aayā
dilā palaT gayā qismat kā pahle hī paasā
ab apnī jiit kahāñ dil jab apnā haar aayā
jab iḳhtiyār chaman par nahīñ to ham ko kyā
hazār baar agar mausam-e-bahār aayā
shikāyat-e-dil-e-muztar kahāñ talak ai maut
duā.eñ dūñgā tujhe gar ise qarār aayā
javāb-e-ḳhat kā na qāsid se mājrā pūchho
hai saaf chehre se zāhir ki sharmsār aayā
nazar meñ phir ga.ī chaal aap kī javānī kī
jo laḌkhaḌātā huā koī bāda-ḳhvār aayā
jo māñgte to hameñ bāġhbāñ se kyā miltā
ġharīb phuul to dāman ko bhī pasār aayā
na apne nāla-e-dil ko milā javāb kahīñ
nikal ke dil se tujhe arsh tak pukār aayā
adam meñ 'shād' ko kyā valvala ho jannat kā
ki ye ġharīb to hastī se dil ko maar aayā