Shad Azimabadi

shab ko meri chashm-e-hasrat ka sab dard-e-dil un se kah jaana

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
shab ko mirī chashm-e-hasrat kā sab dard-e-dil un se kah jaanā
dāñtoñ meñ dabā kar hoñT apnā kuchh soch ke us kā rah jaanā
mai-ḳhāne meñ aanā zāhid kā phir dar pe ThiThuk kar rah jaanā
saaqī ke ishāroñ kā mastoñ kuchh kaan meñ sab ke kah jaanā
ai yaas na mānūñgā terī bas dil ko ziyāda ab na dukhā
samjhā chukī us kī pahelī nigah dukh-dard jo ho vo sah jaanā
maanā ki faqat mauhūm sahī milne kī hameñ ik aas to hai
dīdār to ho le dīda-e-tar bahnā ho agar tab bah jaanā
naale hoñ ki aaheñ ai shab-e-ġham jab aa ga.iiñ lab par sabr kiyā
sahne ko to sab kuchh dil ne sahā sahne kī tarah kab sah jaanā
buniyād jamāne meñ jin kī kyā kuchh na bahā thā ḳhūn-e-jigar
ai vā-asfā un mahloñ kā ik chashm-e-zadan meñ Dah jaanā
shab ko vo hathelī se un kā sharmā ke chhupānā āñkhoñ ko
barchhī kā adā kī chal jaanā us tīr-e-nazar kā rah jaanā
utre na kisī ke jab dil meñ us baat kā hāsil kyā vaa.iz
kahne ko kahī yuuñ apnī sī afsos na tū ne kah jaanā
ham baaġh meñ nāhaq aa.e the bulbul kī hikāyat kyā kahiye
minqār ko rakh kar kaliyoñ par kuchh apnī zabāñ meñ kah jaanā
sun leñ dil-e-nādāñ kī bāteñ be-kār bigāḌeñ kaam apnā
vo zulm kareñ ham par ki sitam ai 'shād' hameñ to sah jaanā
Top Urdushayar.com