bazm-e-takallufāt sajāne meñ rah gayā
maiñ zindagī ke naaz uThāne meñ rah gayā
tāsīr ke liye jahāñ tahrīf kī ga.ī
ik jhol bas vahīñ pe fasāne meñ rah gayā
sab mujh pe mohr-e-jurm lagāte chale ga.e
maiñ sab ko apne zaḳhm dikhāne meñ rah gayā
ḳhud hādsa bhī maut pe us kī thā dam-ba-ḳhud
vo dūsroñ kī jaan bachāne meñ rah gayā
ab ahl-e-kārvāñ pe lagātā hai tohmateñ
vo ham-safar jo hiile bahāne meñ rah gayā
maidān-e-kār-zār meñ aa.e vo qaum kyā
jis kā javān ā.īna-ḳhāne meñ rah gayā
vo vaqt kā jahāz thā kartā lihāz kyā
maiñ dostoñ se haath milāne meñ rah gayā
suntā nahīñ hai muft jahāñ baat bhī koī
maiñ ḳhālī haath aise zamāne meñ rah gayā
bāzār-e-zindagī se qazā le ga.ī mujhe
ye daur mere daam lagāne meñ rah gayā
ye bhī hai ek kār-e-numāyāñ 'hafīz' kā
kyā sāda-lauh kaise zamāne meñ rah gayā