Shad Azimabadi

ye dil-jami jiye jab tak jiye jina usi ka hai

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
ye dil-jam.ī jiye jab tak jiye jiinā usī kā hai
piye jo sair ho ke raat din piinā usī kā hai
nigah kī barchhiyāñ jo sah sake siinā usī kā hai
hamārā aap kā jiinā nahīñ jiinā usī kā hai
tasavvur us ruḳh-e-sāfī kā rakh madd-e-nazar nādāñ
lagā.e muñh jo ā.īne ko ā.īna usī kā hai
ye bazm-e-mai hai yaañ kotāh-dastī meñ hai mahrūmī
jo baḌh kar ḳhud uThā le haath meñ miinā usī kā hai
kadar ho yā ki saafī sab ko pī kar mast ho jaa.e
ye ham rindoñ kā piinā kuchh nahīñ piinā usī kā hai
tamāshā dekhnā ġhairoñ ke ghar ko phūñk kar kaisā
jo apnī aag meñ jal jaa.e ḳhud kiina usī kā hai
fazā-e-dahr meñ ye sair-gah jis ne banā dī hai
tamāshā.ī jahāñ meñ dīda-e-bīnā usī kā hai
basar ho mai-kade meñ panj-shamba baiTh kar jis kā
jo mai-noshī meñ kar de sub.h ādīna usī kā hai
umīdeñ jab baḌheñ had se tilismī saañp haiñ nāseh
jo toḌe ye tilism ai dost ganjīna usī kā hai
mubārak haiñ ye sab rāteñ jo piine meñ kaTeñ rindo
guzāre yuuñ jo shab hafte kī ādīna usī kā hai
ḳhudā-lagtī kahe ai 'shād' jo is pair ke haq meñ
yaqīñ samjho duā-go bhī ye derīna usī kā hai
kudūrat se dil apnā saaf rakkho 'shād' piirī hai
ki jis ko muñh dikhānā hai ye ā.īna usī kā hai
Top Urdushayar.com