jise paalā thā ik muddat tak āġhosh-e-tamannā meñ
vahī baanī huā mere ġham o dard o aziyyat kā
usī ke haath se kyā kyā sahā sahnā hai kyā kyā kuchh
ilāhī do jahāñ meñ muñh ho kaalā is muravvat kā
kareñ insāf kā daavā asar kuchh bhī na zāhir ho
mazā chakkhā hai aise dostoñ se bhī mohabbat kā
miTā.eñ taaki apne zulm karne kī nadāmat ko
nikāleñ DhūñD kar har tarah se pahlū shikāyat kā
hasad jī meñ bharā hai laag hai ik umr se dil meñ
kareñ zāhir agar mauqā hai iz.hār-e-adāvat kā
tama.a meñ kuchh na samjheñ baap aur bhaa.ī kī hurmat ko
amal dekho to ye phir kuchh kareñ daavā sharāfat kā
mirī umr-e-do-roza bekasī ke saath kaTtī hai
na apnoñ se na ġhairoñ se milā samra riyāzat kā
jise dekhā jise paayā ġharaz kā apnī banda thā
jahāñ maiñ ab mazā baaqī nahīñ ḳhālis mohabbat kā
hamārā kalba-e-ahzāñ hai ham haiñ yā kitābeñ haiñ
rahā baaqī na koī ham-nashīñ ab apnī qismat kā
ḳhudā ābād rakkhe 'shād' mere un azīzoñ ko
mazā chakkhvā diyā al-qarz-o-miqrāz-ul-mohabbat kā