hazār haif chhuTā saath ham-nashīnoñ kā
makāñ to hai pe Thikānā nahīñ makīnoñ kā
khilā jo baaġh meñ ġhuncha sitāra-dār khilā
guloñ ne naqsh utārā hai mah-jabīnoñ kā
hai apnī apnī tabī.at pe husn-e-shai mauqūf
maiñ kyuuñ huuñ banda-e-be-dām un hasīnoñ kā
nazar kā kyā hai bharosa nazar pe haiñ parde
ḳhayāl arsh pe jaatā hai dūr-bīnoñ kā
zamīn-e-shor ho yā ho zamīn-e-sher ai dil
nahīñ hai koī ḳharīdār in zamīnoñ kā
bahisht-e-dahr hai apnā vatan ḳhudā kī qasam
judā judā hai tarāna sabhī mahīnoñ kā
kisī ko maan liyā dil ne jab to maan liyā
na daḳhl do yahī maslak hai ḳhush-yaqīnoñ kā
jo ho musavvir-e-fitrat misāl kyā us kī
gumāñ na chāhiye insāñ pe ābgīnoñ kā
zarā nikal ke to duniyā se dekh ai insāñ
patā na din kā na andāz hai mahīnoñ kā
sikhā diyā mujhe bach bach ke rāsta chalnā
ḳhudā bhalā kare ai 'shād' nukta-chīnoñ kā