tamannāoñ meñ uljhāyā gayā huuñ
khilaune de ke bahlāyā gayā huuñ
huuñ is kūche ke har zarre se āgāh
idhar se muddatoñ aayā gayā huuñ
nahīñ uThte qadam kyuuñ jānib-e-dair
kisī masjid meñ bahkāyā gayā huuñ
dil-e-muztar se pūchh ai raunaq-e-bazm
maiñ ḳhud aayā nahīñ laayā gayā huuñ
saverā hai bahut ai shor-e-mahshar
abhī bekār uThvāyā gayā huuñ
satāyā aa ke pahroñ aarzū ne
jo dam bhar aap meñ paayā gayā huuñ
na thā maiñ mo'taqid e.ajāz-e-mai kā
baḌī mushkil se manvāyā gayā huuñ
kujā maiñ aur kujā ai 'shād' duniyā
kahāñ se kis jagah laayā gayā huuñ