Shad Azimabadi

dil apni talab mein sadiq tha ghabra ke su-e-matlub gaya

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
dil apnī talab meñ sādiq thā ghabrā ke sū-e-matlūb gayā
dariyā se ye motī niklā thā dariyā hī meñ jā kar Duub gayā
ahvāl-e-javānī piirī meñ kyā arz karūñ ik qissa hai
vo tarz ga.ī vo vaz.a ga.ī andāz gayā uslūb gayā
lā-raib ḳhamoshī ne terī tāsīr dikhā dī mastoñ ko
be-bāk jo mai-kash thā saaqī us bazm se vo mahjūb gayā
be-rāhila-va-be-zād-e-safar rahmat pe bharosā farmā kar
jo mulk-e-adam meñ basne ko is tarah gayā vo ḳhuub gayā
bad-hāl bahut thā us par bhī ai yaar kisī ne lī na ḳhabar
baḌ maar ke tere kūche se āḳhir ko tirā majzūb gayā
rizvāñ ne kiyā dar ḳhuld kā vā hūreñ huiiñ sadqe aa aa kar
ġhilmāñ ne qadam chūme us ke jo terī taraf mansūb gayā
tāqat jo nahīñ ab hairat se tasvīr kā aalam rahtā hai
vo āḳhir-e-shab kī aah ga.ī vo laġhra-e-mahbūb gayā
yaañ apnī sazā bhugTī us ne rahmat kī nazar hogī us par
har-chand ḳhatā-kār-e-ulfat kūche se tire ma.atūb gayā
hairat hai abas ai jo in besh-bahā mansūboñ par
is tarah ke motī tab nikle jab zer-e-zamīñ maiñ Duub gayā
kyā us kā sabab maiñ arz karūñ kuchh vāqiye aise pesh aa.e
maiñ rotā huā aayā thā yahāñ chup yaañ se gayā mar.ūb gayā
kūche meñ tire ab 'shād' nahīñ le paak ḳhudā ne kī ye zamīñ
sad shukr sarā-e-fānī se āḳhir vo sag-e-ma.ayūb gayā
Top Urdushayar.com