vo ālamgīr jalva aur husn-e-mustarak terā
ḳhudā jaane in āñkhoñ ko huā kis kis pe shak terā
batā had se sivā ham paañv phailā.eñ kidhar jaa.eñ
faqat do gaz zamīñ apnī hai aur sātoñ falak terā
kiyā ai sone vaale rahm sub.h-e-vasl ne tujh par
ki juuñ juuñ khultī haiñ āñkheñ miTā jaatā hai shak terā
bas ab had hai ki ġhairoñ tak kā dāman jā ke pakḌā hai
Dige kis kis jagah ham ho gayā kis kis pe shak terā
tire naqsh-e-qadam kī gard tak pahuñche na vāmāñda
bahut pīchhā kiyā ai kārvāñ kosoñ talak terā
ġhizā-e-rūh hai ai husn tū apnī malāhat se
har ik ke zā.iqe meñ Thiik hai āb-o-namak terā
agar āñkheñ salāmat haiñ to kyā kyā kuchh dikhā.egā
yahī phailā huā jalva samā se tā-samak terā
mirī ham-dardiyoñ se ho ga.ī ġhairoñ ko ik ibrat
liyā ghabrā ke jab jab nām-e-nāmī be-dhaḌak terā
na pūchho ishq ne ġhairat se kyā kyā rañg badlā hai
ḳhayāl aayā hai saath auroñ ke jab jab mushtarak terā
faqat zāhid pe kyā mauqūf sab kī raal Tapkī hai
vo shoḳhī vo numū ke din vo chehra be-Dalak terā
bahut tū ne jab apne paañv phailā.e to kyā chāra
adab kartī rahī ai ashk muddat tak palak terā
abas uljhā ke rakkhā hai koī insāf bhī āḳhir
umīdeñ saath deñgī 'shād' āḳhir kab talak terā